Allah Rabbul Izzat gere nabi (Nabi alawa dosre log) se kalam nahi farmata is liye usne apne khas
Bande Huzur Mohammad ﷺ par Quran nazil farmaya iski kai hikmaten hain

Agar Allah Rabbul izzat sirf kisi farishte ke zariye hi tamam logon tak apne ehkam pahunchata to bando ko samajhne me kafi dushwari hoti qki banda sirf sunega ki kese namaz padhni hai our kaese roza rakhna hai wagera lekin wahi agar banda dekh le kisi apne jese insan ko namaz padhte hue our roza rakhte hue to aasani se samajh sakta hai ki kese roza rakhna hai our kaese namaz padhni hai is liye apne pyare nabi ﷺ ko insano me hi insani shakl me bheja taki logon ko samajhne me aasani ho

Agar Allah Rabbul Izzat har shash ko khawab ke zariye apne ehkam pahunchata to logon me ikhtelaf ho jata har shakhs ek jesi samajh nahi rakhta to jo jesa samjhega amal karega isse Deen par amal karna mushkil ho jata is liye Allah ne apne khas bande ko duniya me bheja our sirf unke zariye hi logon tak Deen pahunchaya