Quran pak Lohe mehfuz me mukammal likha hua hai jaesa ki Quran Pak ki Surah Buruj me hai ki

قُرآنٌ مَّجِیدٌ فِی لَوحٍ مَّحفُوظٍ


Fir lohe mehfuz se aasmane duniya par nazil hui Ramzan ke mahine me Shabe Qadr ko jaesa ki khud Rab farmata hai Qurane Pak ke surah Baqra our Surah Qadr me

SURAH AL-BAQRA (185)

شَهرُ رَمضَانَ الَّذِی اُنزِلَ فِهِ القُرآنُ

SURAH AL-QADR (1)

اِنَّا اَنزَلنَاهُ فِی لَیلَةِ القَدرِ

Quran pak aaj hamare samne jis tartib par hai usi tartib par nazil nahi hui balki bandon ki zarurat ke mutabiq thodha thodha karke Huzur ﷺ par nazil hoti rahi
   Lekin tartib usi tarah di gai hai jis tartib par lohe mehfuz me likhi gai hai jaese ki Qki Huzur ﷺ ki nazre karam lohe par bhi rehti aap nuzule Quran ke bad Sahaba karam ko ishara farma dete ki kon si surah kahan likhi jaye