Quran pak me Ruku ke nishan ke talluq se kai qol hain

Baz hazrat ka kehna hai ki ruku ka ع Hazrate Umar Faruq رضی اللہ عنہ ke name ki nisbat se lagai gai our baz kehte hai ki Hazrate Usmane Gani رضی اللہ عنہ ke name ki nisbat se lagai gai

Rajeh Qol yahi hai ki Hazrate Usmane gani رضی اللہ عنہ Ramzan ke mahine me tarawih padhaya karte to jahan aap ruku karte us jagah ke hashiye me ruku ka nishan laga diya gay

Hazrate Usman  Gani رضی اللہ عنہ 
20 Rak-at Tarawih padhte our 27 Ramzanul Mubarak tak Khatm Quran pak Farmate is hisab se total 540 Ruku hone chahiye lekin Quran pak me total 556 is liye ki Quran pak me kuch surate bahot choti hain to Kuch rak-at me 2 surate bhi padh lete is tarah 556 hain