Surah Fateha ke kai name hain Our ye name is surah ki Fazilat bayan karte hai Iske Mashhur 15 name hain

1. Ye surah Quran pak ki pehli aayat hai is bina par is Surah ka kam Surahtul Fateha hai  yani kitab ki shuruat karne wali

2. Is Surah me Allah Rabbul Izzat ki Tarif bayan ki gai hai is bina par iska name Surahtul Hamd hai


3,4. Ye surah Quran pak ki asl hai ki is etbar se iska name Ummul Quran, Ummul Kitab hai

5. Ye Surah 2 martawa nazil hui hai is bina par iska name Assabul Masani hai

6,7,8. Din ke bunyadi ehkam ko is surah me jama kiya gaya hai is bina par iska name Surahtul kanz, Surahtul wafiya, Surahtul Kafiya hai

9,10. Is surah me mot ke siwa tamam bimaruyon ki shifa hai is bina par is surah ka name Surahtush shifa our Suratush shaniya hai

11,12,13,14,15. Is surat me Dua ka mukammal Tariqa bataya gaya hai is liye is surah ko surahtud dua, Surahtu talimil mas'ala, suratus suwal, suratul munajat our surahtut tafwiz kahte hain