Surah fateha ki Satwi 7 Ayat

  غَیرِ المغضُبِ عَلِیهِم وَلَا الضَّآلِّینَ
   Na jinpar hua ho our ba baje huon ka

Pichli aayat ka talluq is aayat se kai tarah se hai
  Ek ye ki pichli aayat me صراط المستقیم ka pata bataya gaya tha our puri chiz ka pura para tab lagta hai jab ki uski kuch nishani bhi malum ho our uski zid bhi qki chiz ki pehchan uski zid kiehchan se hoti hai to pichli aayat me sidhe raste ki alamat batai gai thi our is aayat me tdhde taste ka pata diya gaya taki unme tamiz ho jaye
  Dusra ye ki pehle khuda ke inam ka zikr Hua tha jinko sun kar bande ke dil me ummid peda hui thi ab Gazab ka zikr hua jisse khof peda ho our Iman khof our ummid ke darmiyan hai lehaza koi mumin bager khof our ummid ke rasta te nahi kar sakta dono me barbari chahiye
   Tisra ye ki pichli aayat me un logon ka zikr tha jin pa Allah ne inam kiya is aayat me unhi logon ki pehchan batai gai hai yani inam wale wo loog hain jo Khuda ke gazab yani bad amli our bad aqidgi se bache hue ho to matlab ye hua ki Inam wale wo loog ho jinke Aqaid bhi durust ho our aamal bhi


Ulmaye karam farmate hain ki
   Is aayat ke chand fayede hain
1 Farishte our nabi ek minute ke liye bhi gumrah nahi ho sakte our na kabhi gunah kare jisse khuda ke gazab ke mustahiq ho jaye isliye ki Ambiya علیہم السلام ki perwi karne ka hukm hai aur Gumrah aur bad Amlon se bachne ka Agar vah Kisi minute Mein bad aqeedah yah bad Amal Hue Hote to use Waqt  unse Bachana Lazin Hota aur yah unke Mansab ke khilaf hai Lehaza isi Se Azmat Ambiya علیہم السلام ka subut Milta hai

Dusra fayda ki
    Isse Malum Hua ki ki Gumraho aur Badmazhabo Se Dur Rahana chahie aur Allah Ke net bandhuon ki Sohbat Main baithna bahot zaruri hai Badmzhabon ke Tariqon Unki Suraton unki siraton1 Unki sohbaton se bacchon Jis Ke Paas Daulat Ho Chahiye ki Daku aur Choro Se Alag Rahe Varna Unki Daulat Khatre Mein Hai isi Tarah Jiske pass Iman ki Daulat ho wo Imaan ke choro Se Alag Rahe jahreela saamp Jaan lega aur bura yaar Imaan Barbad Karega
  Tisra fayeda
       Is Surat ke Shuru mein Rab ki Ham do Sana zikr hua aur Aakhir Mein uski gazab se panah ka jisse Maloom Hua Jis Tarah Rab Ki hamd O Sana nek bhakton Ki asli Hai Usi Tarah badh Etqadi aur bad amli bad nasibon ki Jad hai

4
    Allah Ke Maqbool Bande Jaha Bhi Ho Jab Bhi guzre Ho Aur Jaese Bhi Ho Sab Ek Hi jamaat Mein Hai Kyunki Un sab ki asl ek hi hai Aadam علیہ السلام ke zamane Se Qayamat Tak ke Sare Maqbool ek hi zamre Mein Hain Lekin married mardude bargah kai qism Ke Log Hain jinki Suraten bigdhi Hain Jinke Sirate bigdi hai aur yah Agarcha Duniya Mein Musttafiq ho kar rahe lekin Aakhirat me uka ittefaq na hoga
 

Sufiya'e karam farmate Hain مغضوب our ضال wo hain jo is azli Noor Ke Chite se mehroom Rah gaye Ya مغضوب wo Jo ke maqbul hoke mardud bane ya waha hazir hokar gaeb hogaye jaese iblis
  Our ضالین wo loog hain jo wahan tak pahunche hi nahi yato yahan se chale hi nahi ya chale magar raste me reh gaye
  To aayat ka maqsad ye hoga ki khuda hamko nato un logon me se bana jo tum tak pahunche hi nahi na un mese jo pahunch lot gaye
Ye bahot nazuk maqam hai insan ko chahiye ki apne zahiri amal our taqwe par etmad na kare bahot si khetiya pak kar barbad ho jati hai Ambiya علیہ السلام ne bhi isteqamat ki dua mangi hain lehaza hame chahiye ki ham Hamesha apne aamal our Iman ki fikr karen