ETRAZ
   صراط مستقیم Ek rasta hai our Ambiya علیہم السلام ulmaye karam alag alag raste rakhte hain to ek rasta sabka kaese hua qki har bahi ki shariyat alag thi har wali ke sssilsilae tariqat alag alag the qadri chishti, chishti, naksh bandit wagera our ulmaye karam ke mazhab alag alag Hanfi, Shafai, Maliki wagera kya aesa koi rasta mil sakta hai jo un sabka ek ho 


JAWAB 
       Tafsire azizi me Bahot behtarin tariqe se misal se iska jawab diya gaya hai wo ye ki 
     Ek qafila ek raste ko tae kar raha hai lekin us qafile me aadmi mukhtalif kam kar rahe hain Badhai ka kaam Koi lohar Koi Bojh uthane ka koi kiraya dar koi chokidar unme ka ek hi rasta te kar raha hai ek hi jagah ja raha hai lekin apne darje ke mutabiq alag alag kam karte huye ye sab ek din manzile maqsud tak pahunch jayenge isi tarah Ambiyae Karam, Ulmaye karam our sufiya'e karam Agar cha aamal me kisi qadr ekhtelaf rakhte hain lekin Asl maqsad sabka ek hi hai ye Amlon ka ekhtelaf zamane our mizajon ke ekhtelaf ki wajah se hai Musa علیہ السلام ke zamane me dine muswi hi unki qaom ke logon ke mizaj our zamane ke mawafiq tha isi tarah Isa علیہ السلام ke zamane me dine iswi hi unki qaom ke logon ke mizaj our zamane ke mawafiq tha Hadise pak me hai ki Huzur ﷺ ne Ambiyae Karam ke bare me farmaya ki Asl tohid me sabka ettefaq hai aamal me ikhtelaf hai 
Lehaza Sabka Manzile maqsud ek hi hai 

ETRAZ 
  Ger Muqalid ka Etraz hai ki Ashabaye Karam  Allah ke maqbul bande the unke raste par chalna hidayat hai our unka rasta sidha rasta hai unhone kisiki taqlid nahi ki our nahi unke zamane me ye 4 mazhab the Hanfi Maliki wagera Lehaza taqlid na karna hi sidha rasta hai 

JAWAB 
   Is etraz ke do jawab hain ek ilzami dusra tahqiqi 
Ilzami jawab ye hai ki Ambiya ka Rasta صراط المستقیم hai our koi nahi dusre nahi ka ummati nahi huye lehaza ummati na banna Sunnate 00Ambiya علیہم السلام hai wahabiyon ko chahiye ki kiske ummati bhi na bane 
Tahqiqi jawab ye hai ki Shaba Karam me asl taqlid mojud thi Ger fiqih Sahaba ashabe Faqih ki ita'at karte the our ashabe karam Quran our hadis se Masail nikalte the raha ye ki us zamane me chand mazhab nahi bane iski wajah ye hai ki unke sine nure  Nabi se munauwwar the unme ekhtelaf bahut kam the gumrah karne wale firqe nahi the lehza unko Qanuno ki tarbiyat ki zaturat nahi thi bad me jhagdhe padhna shuru huye Musalmano me kamzoriya Aane lagi zaruri tha ki unko sahi raste par lagaya jaye is tarah samjhe ki Sahaba Karam ke zamane me na Quran par Zer zabar lagaye gaye na Ruku banaye gaye Na hadis ka Fan bana na hadison ko kitab ki shakl me jama kiya gaya qki us waqt is chizon ki zarurat nahi thi jis qadar zarurat badhti gai kam bhi badhte gaya ab agar koi kahe ki Hadis padhna Sahaba ke Tariqe ke khilaf hai wo bewaquf hai jis tarah lime Hadis ka jama karna Jaiz balki Zaruri hai isi tarah Fiqah wagera bhi zaruri hai agar Fiqah ka inkar kar diya jaye to jo masail Qura wa hadis me lafz ba lafz nahi milte unme ye loog kya karenge Jaese ek sawal hai ki Hawai Jahaz me namaz padhna kayesa hai, phone ke zariye aayate sahda sune to sajida wajib hoga ya nahi our bhi bahot se masail hai jinka zikr Quran our hadis me nahi milta Àgar fiqah ka inkar kar diya jaye to unka kya hukm hoga 

Lehaza taqlid karna Sahaba ke khilaf nahi hai 

و اللہ اعلم بالصواب