اٰمِینَ
Qubul farma le


FAZILAT

Hazrate Jibrail علیہ السلام ne Huzur ﷺ se arz kiya ki Surah Fateha ke liye Aamin Aesi hai jaese Kitab ke liye Moher yani jis tarah kitab bager mohar ke mukammal nahi hoti isi tarah Bager Aamin Surah Fateha Mukammal nahi

Hazrate Ali رضی اللہ عنہ ne farmaya ki Aamin رب العالمین ki mohar hai jisse apne bande ki dua par mohar lagata hai yani jis tarah ki Mohar wala lifafa siwaye Maktub Ilahiyya ke koi nahi khol sakta usi tarah Aamin wali dua ان شاء اللہ zae nahi ho sakti hai yani ya to dua qubl ho jaye our agar dua Rab ke irade ho joki Bande ke liye behtar na ho to Dua mangne wale ko sawab mil jayega

Hazrate Wahab رضی اللہ عنہ farmate hain ki Aamin me 4 Harf hai our Aamin kehne Wale ke liye 4 Farishte Dua'e Magfirat Karte hain

Hadise pak me hai ki Jab ولا الضآلِّینَ    kahe to tum Aamin kaho kyuki is waqt Farishte bhi Aamin kehte hain jiski Aamin Farishte ki Aamin ke mawafiq hogai uske tamam gunah Bakhsh diye jayenge

Hazrat Imam Razi رحمۃ اللہ علیہ farmate hain ki Shetan us dua se Mayus ho jata hai jiske Aakhir me Aamin Keh di jaye kyuki wah samajhta hai ki us par mohair lag chuki hai to ab me use todh nahi sakta.

MASAIL

1. Surah Fateha ke Bad Aamin padhna sunnat hai

2. Aamin na Quran ki aayat hai our nahi kisine aaj tak is lafz ke Quran ki aayat hone ka dawa kiya

3. Aamin Dua hai jaesa ki Quran our Hadis se sabit hai

Surah Yunus  me hai

قَد اُجِیبَت دَّعوَتُكُمَا
Tum dono ki dua Qubul kar li gai

Yahan Hazrate Musa علیہ السلام ne dua ki thi our Hazrate Harun علیہ السلام sirf Aamin Farmaya our Rab Ta-aala ne dono hazrat dua Qubul karne ke bare me farmaya Halaki Hazrate Harun علیہ السلام sirf Aamin Farmaye the isse ye sabit hota hai ki Aamin bhi ek dua hai

4. Aamin aahista Kehni chahiye jayesa ki Quran'e pak me hai Surah Eraf Aayat Number 55 me

اُدعُوا رَبَّكُم تَضَرُّعًاوَّخُفیَةً
Apne Rab se Aajizi ke sath our chupke se dua mango

Aamin ek dua hai lehaza hame chahiye ki ham Aamin bhi aahista hi kahe

5. Namaz ke andar ya namaz ke bahar jab bhi surah Fateha khatm ki jaye to Aamin kehna Sunnat hai